Voter ID card me address change Kaise kare | Voter card me correction Kaise Kare 2023 in Hindi

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Voter ID card me address change Kaise kare Voter ID card ek aise jarurat hai jo ki aam public ke liye bahut hi jaruri document hai ishi Voter ID card se hi aaj hum Vote kar pate hai Vaise toh abhi ham apne Aadhar Card se bhi Election me Vote kar sakte hai lekin fir bhi jo Voter card hai usme koi bhi correction karna ho toh

Voter ID Card correction problems

  • Voter ID card me correction kaise kare Phone ya Computer se?
  • Voter card me DOB (Date of birth) kaise change kare?
  • Importance of Voter ID Card
  • Aaj ham jannege Voter ID card me address kaise change kare?
  • Voter card me address change Kaise kare phone se?
  • Voter ID Card kaise banaye?
  • Voter card download kaise kare?

Voter ID card me correction kaise kare Phone ya Computer se?

aaj ham wo jannege ki kaise ham apne Voter Card me Name, Address, DOB koi bhi correction kase kar sakte hai abhi mai aapko mere apne Voter ID card ki DOB (Date of birth) change karke dikhaunga

jaisa ki aapko pata hi hoga ki jiski age 18+ hai uska Voter ID card ban sakta hai agar aapka Voter card nahi bana hai toh aapke ganv me survey honge toh aap apni Voter card ko banane ke liye kah sakte hai

Importance of Voter ID Card

Voter ID Card ki jarurat hame Election me vote dalne me padti hai tab agar aapke Voter card me koi bhi galat information hai toh fir aapko Vote karne nahi diya jayega isiliye aapke Voter card me Corection hona bahut jaruri hai Dosto aajka topic hai Voter ID card me address kaise change kare.

Election Commission of India ne ye problem dekhte huye aam aadmi ki sahuliyat ke liye ek app launch kiya gaya tha jaha se aap apne ghar baithe apne Voter ID card me aasani se corection kar payenge aur ek online portal bhi provide kiya gaya hai jaha se aap online portal par bhi ja kar apne Voter ID Card me address change kar sakte hai.

so dost agar aaap ye post article padh rahe hai toh iska matlab hai aapke Voter card me corection karna hai or kisi family, Relative, Friends ke Voter card address change karna hoga.

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

ya name DOB something change karna hoga sayad aapne Google par How to change address in voter card ya Voter ID card me address kaise change kare serach kiya hoga also search Pahchan patra me address kaise change kare.

Dosto abhi ham step by step jannege ki kaise aap apne Voter ID card me address change kar sakte hai aur aap bhi aasani se kuch hi minuto me jan payenge ki Voter card me correction kar payenge chaliye khud karte hai onley 2 minutes me.

Voter ID Card me Address Change kaise kare?

Dosto Voter ID Card me address change karne ke 3 mukhya tareeke hai jaha se aap aasani se apne Voter card me koi bhi Corretion kar sakte hai.

  1. Offline correction karne ke liye Nivarchan kshetra ke adhikari se milakar apne Vartmaan address ke pramaan patra ke sath application form jama karke karva sakte hai par ishme aapko dikkte jyada hongi bhag dodh jyada karni hogi baki jaisa aapko comfertable lage
  2. Online portal par jakar karva sakte hai ya fir meri tarah Jugaadu bankar apne Ghar baithe apne Voter ID Crad me address change kar sakte hai wo bhi bina kisi kharch ke apne Phone par sirf 2 minute me ish tareeke no. 3 ki madad se
  3. Voter helpline android app ki madad se

Dosto abhi mai aapko batane wala hu ki kaise aap Voter ID me address kaise change kar sakte hai Voter helpline app ki madad se dosto Voter helpline app ko playstore par 4.2 ki rating mili hai jo ki hame batati hai ki ye app kitni best hai Voter card me correction karne ke liye.

Dosto abhi tak ish app ko 1o million (1 crore) se bhi jyada logo ne download or install kiya hai jo ki ish app ki lokpriyata ko darshata hai to chaliye abhi ham step by step jannege ki kaise aap apne Voter ID me address kaise change karenge ish Voter helpline app ki madad se.

Voter Card me correction kaise kare?

Dosto sabse pahle hame ek app download karna hoga jike bare me hamne abhi upar charcha ki hai toh chaliye pahle ham Voter helpline app ko download kar lete hai apne phone me.

Voter helpline app (software) kaise download kare?

Voter helpline app download karne ke liye aapko kuch step follow karne honge jo ki kuch ish tarah hai

Voter ID card me address kaise change kare
  • Playstore – Playstore ko open ki jiye apne android phone me
  • Voter helpline – Search box me Voter helpline likh kar search kare
  • Install – then install button par click karke install karle

Ya fir aap yaha click karke bhi download kar sakte hai Download

Voter Card me DOB (Date of Birth) kaise change kare?

  1. Voter helpline app khole

Dosto app install karne ke baad ab aap Voter helpline app ko open kare

Voter ID card me address kaise change kare

2. Disclaimer page samne me apke Disclaimer page dikhayi dega waha aapko I Agree par tick laga kar Next par click kare

3. Language – dosto ab aako Bhasha slect karne ka option dikhyi dega aap apne hisab se koi bhi Language slect kar lijiye aur Get started par click kijiye

Voter ID card me Date of birth kaise change kare

Dosto abhi tak aap bilkul sahi ja rahe hai aage bhi sare steps follow kijiye aur bas abhi aap jan jayenge ki Voter Card me DOB (Date of Birth) kaise change karte hai dosto aage ke steps dhyan se dekhna hai aapko taki aap aasani se Voter Card correction kar paye

Voter ID card kaise banaye?

Dosto agar aap new Voter ID card banana chahte hai to aapko Neeche left side corner me jo explore button dikhayi de raha hai ush par click kare

Fir New Voter Registration (form 6) ko slecte karna hoga aur fir aapko apna Phone number dalna hoga aur OTP verify karna hoga fir aage ke steps follow karne honge then aapka New Voter ID card regstration ho jayega

Voter ID card me address kaise change kare

Voter card me correction kaise kare apne phone par?

Abhi ham dekhte hai ki kaise ham apne Voter card me koi bhi correction kaise karenge

sabse pahle aapko left side ke corner ke explore button par click karna hoga ushke baad

Correction of entries (Form 8) par click karna hoga

Lets start button par click kare

Popup window me apna mobile number dale fir SEND OTP par click kare aur ab aapke mobile number par ek OTP aayega Popup window me OTP dalkar verify karle

Voter card me correction kaise kare 2022 in hindi

Ab aapke samne screen par likha hoga Do You already have Voter ID Number agar aapke pass Voter card hai toh aapko Yes ko slect karna hai No bhi slect kar sakte hai koi problem nahi hai

Voter card me correction kaise kare in hindi

Dosto ab aapko apne Voter ID card ki kuch Details bharni hogi jo kuch ish tarah hai

  • Enter Your Name :- apna naam dale
  • Father’s /Husband Name :- apne pita ya pati ka naam dale
  • Select Gender:- Male ya Female chune
  • Age :- Apni age daale (Umra)
  • State :- Apna Pradesh state chune
  • District:- apna jila District chune
  • Assembly Constituency:- apni assembly ko chune

Agar aapne Do You already have Voter ID Number me Yes slect kiya tha to aapko itna sara kuch nahi bharna padega sirf apna Voter ID number dalker ya Barcode scan karke aasani se sari information bhar jati aur fir aapko jo bhi Change correction karna hai bas ushe bhar kar apna Time bachaya ja sakta hai

Voter card me correction kaise kare in hindi

Abhi aapko Details bharne ke baad Fatch Details par click karna hai

ushke baad Proceed button par click kare

Ab aapne jo bhi information bhari hogi aapko dikhayi degi dekh kar Next button par click kare

Ab aapke samne jo Form khulega ushme aapko sirf wo hi option slect karna hai jo aapko apne Voter ID card me change karna hai For ex. Voter card me address change karna hai to Address wale option ko slect karna hai

Ya Voter card me DOB (Date of Birth) change karna hai to Date of Birth wale option ko slect kare

voter helpline

Important – agar aap Female hai aur aapko shadi ke baad apna Voter ID me address change karna hai to aapko address ke sath-sath Type or Relation ke option ko bhi slect karna hai

Ab aapko apna naya address dalna hai aur address relevant kisi ek Document ki Picture upload karni hogi sari information check karne ke baad Next par click kare

Ab aapko apna naam dalna hai ya check kar lena hai

Place – me aapko apne Village (Gaanv) ka naam dalna hai aur Done par click karna hai

Voter card me correction kaise kare in hindi

Ab aapko aapke form ka preview dikhayi dega dekhne ke baad Confirm button par click kar dena hai ab aapka Application Form submit ho gaya hai abhi aapko ek Refrence Number dikhayi dega ushka screenshot le le (Power button+Volume- button dabakar) ish Refrence Number ki madad se aap apne application form ka status dekh payenge

Voter card me correction kaise kare in hindi

To ji ish prakar se aap apne Voter ID address change kar sakte hai address change mere khyal se jab hi karna padta jab aap kahi or rahne lage ho kisi Sahar me ya state me ya fir Female aapki shadi ho gayi hai aur abhi aapko apne Voter card address change karna hai

Voter ID me address kaise badle apne computer se?

Dosto agar aap apne Voter ID me address kaise badle apne computer se janna chahte hai to apko lagabhag same steps follow karne honge

Bas aapko apna Laptop/Computer lena hai aur koi bhi ek Browser open karna hai (I prefer chrome browser) aur fir www.nvsp.in ki website par jakar Correction in Personal Details ke potion ko slect kare aur fir Correction of entries (form 8) ko bharkar Submit kar dena hai bas simple ho gaya kaam.

Voter ID card download kaise kare?

Voter card download karne ke liye aapko Voter helpline app me 3 option me se kisi ek option ko slect karna hoga.

  • Search by barcode
  • Search by details
  • Search by EPIC no.

kisi ek option ko slect karne ke baad aap apne Voter ID card ko download kar payenge

voter ID card download kaise kare

I HOPE, Dosto aapne sare steps carefully read karke follow kiye honge aur aap bhi aasani se apne Voter ID address change kar paye honge fir bhi agar aapko koi problem ho rahi hai toh Comment Box aapke liye hi hai apna question waha likh sakte hai mai jald se jald aapko reply karunga

Dosto aap apne Relatives, Friends ko ye article share jarur kare taki wo bhi aasani se apna Voter card correction kar paye or aapko Thanks kah sake

Filhaal aaj ke liye bas itna hi fir milte hai kisi aur informative article ke sath tab tak ke liye bye bye, Keep smiling, Keep growing.

FAQ

Q 1. वोटर आईडी कार्ड में सुधार कैसे करें?

Ans. Voter ID Card me sudhar karne ke bahut sare tareeke mai abhi uper aapko bata chuka hu ki kaise aap Voter Helpline app ki madad se apne voter card me correction sudhar kar sakte hai step by step instruction follow kare aur aap bhi aasani se Voter ID Crad me sudhar kar payenge.

Q 2. वोटर आईडी कार्ड में डेट ऑफ बर्थ कैसे चेंज करें?

Ans. Voter ID Crad me Date Of Birth change karne ka tarika uper maine bataya hai ushe padh kar aap aasani se 1 minut me apne Voter id card me date of birth change kar payenge.

Q 3. वोटर आईडी कैसे निकाला जाता है?

Ans. Voter ID nikalne ke liye aapko apne phone me ek app install karna hoga jiska naam hai Voter Helpline jiski madad se aap Voter ID nikal sakte hai. jyada jankari ke liye uper ke step read kare

Q 4. पहचान पत्र बनाने के लिए क्या क्या डॉक्यूमेंट चाहिए?

Ans. Pahchan patra (Voter ID card) banane ke liye aapke paas ek mobile no. aur full address with any proof ex. Aadhar card, Marksheet, etc aur aap Voter Helpline app ki madad se ya fir www.nvsp.in website par jaker ya kisi Jansewa kendra par jakar bhi apna Pahchan patra (Voter ID Crad) banwa skte hai.

Q 5. घर बैठे वोटर आईडी कैसे बनाएं?

Ans. Ghar baithe voter Id card banane ke liye aapko sabse pahle www.nvsp.in ki website par jana hoga uske baad aapko registration a new Card par click karke sari detailes fill karni hongi then aapko ush form ko submit kar dena hai kuch hi dino me aapka new voter ID card ban jayega jyada jankari ke liye uper bataye huye steps follow kare.

Q 6. पहचान पत्र को क्या कहते हैं?

Ans. Pahchan patra ko Voter ID card bhi kahte hai Voter card.

IMPORTANT LINKS:

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Hi guys, I am Ashish Raj Founder and owner of Techineasy.com Friends I am a blogger, and Youtuber My Youtube channel is Maurya Vlog Video, And know fast. Friends if you have any questions or Business queries then contact me. Contact info on the Contact us Page. Thank u....

Leave a Comment