How to create a PayPal account in 2023 [PayPal account kaise banaye] in Hindi

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Hello and Welcome dosto mai hu Ashish aur aap padh rahe Hai Techineasy in simpel language aur aaj mai aap logo ko batane ja raha hu ki kaise aap PayPal ka account bana sakte hai aur PayPal se paise kaise kama sakte Hai aur hum ye bhi janenge ki aakhir PayPal account ka use Kya hai to jyada der na karte hue seedha point par chalte Hai aur jante Hai sabkuch step by step…

So today i am telling you guys. How to create paypal account. If you follow some steps belive me you can create paypal account. So let’s start…

PayPal account Kya Hai aur iska use Kya Hai?

how to create paypal accont in hindi
http://techineasy.com

PayPal ek Internet par world currency converter bank Hai jispar hum apna account bana Kar kisi bhi country ki currency ko online PayPal bank or PayPal account ke jariye hum us currency ko convert ya kahe exchange Kar payenge apne yaha ki currency me aur fir us currency [money] ko apne offline banks me transfer Kar payenge.

Aur PayPal account me apne offline bank ko Link karke hum PayPal se hi shopping bhi Kar sakte hai aur agar kisi ko foriegn country me paise bhejane ho to wo bhi aap currency ko convert karke send Kar sakte hai to yahi Hai PayPal account aur iska use.
Simply kahe to PayPal ek online bank Hai Jo ki payment receive [lene] or payment send [bhejne] ke liye upyog me aata Hai aur agar aap koi online business Kar rahe Hai to aapko PayPal account ki kafi jarurat padegi kyonki PayPal 190 country [desho] me 1998 se bahut hi carefully aur honestly work Kar raha Hai.

PayPal par currency ko convert ya kahe exchange Karne ke liye kya PayPal hum se koi service charge leta hai?

Ha PayPal par currency exchange Karne par kuch % PayPal aapse leta Hai aur apki currency ko convert Karke apke bank me bhej deta hai.

PayPal account create ke liye kya Kya chahiye?

Dosto paypal account banane ke liye aapke pass ye kuch jaruri cheje honi chahiye

  • Mobile or Computer
  • Internet connection
  • Gmail account
  • Bank account
  • Pan card
  • Address
  • Debit or credit card [not mendatory]
  • Phone number
To ye kuch cheeje chahiye hongi PayPal account banane ke liye.

PayPal par account kaise banaye | how to create paypal account

PayPal par account banana bahut hi asan Hai bas aap Meri steps ko follow kijiye aur kuch hi der me aapka PayPal par account ban jayega. to create paypal account follow these steps.

Step#1:

Sabse pahle aapko ish website par Jana hoga www.paypal.com aap yaha par click karke bhi ja sakte hai CLICK KAREN

Step#2:

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now
website par Jane ke baad corner me sign up ka button hoga us par click Karen

Step#3:

Ek form open hoga usme sawadhani se jo Jo pucha ja raha ho bhariye last me agree & create account par click kijiye

Step#4:

Ab agla page khulega code ko bhare aur countinue par click Karen

Step#5:

Ab aapka PayPal account bankar taiyar ho gaya Hai ab aap apni email ID verify kijiye

Step#6:

Email ID verify Karne ke liye apne Gmail account ko open kare

Step#7:

Waha par PayPal ki taraf se ek mail aaya hoga us par click Karen verify par click Karen

Step#8:

Ab ek aur page khulega waha verify done likha hoga

Step#9:

Ab apne PayPal account me login Karen login Karne ke liye
  1. email ID dale
  2. Password dale [Jo password PayPal account banate waqt dala tha wohi]
  3. Sign in par click Karen

Step#10:

Agla page khulega usme security ke liye ek question select kare aur uska answer de aur submit button par click Karen

Step#11:

Ab aapko aapke PayPal account me ek notification show karega us par click Karen

Step#12:

Aapko apni sari information update karni Hai pan card details,bank account details, PayPal account kyo banaye ho reason sari information update Karne ke baad ab aapka PayPal account ban Kar taiyar ho gaya Hai.

Step#13:

Ab aapko apna bank account add karna Hai uske liye add bank account par click Karen agla page khulega ab apna Bank account number IFSSC code aur aur Jo bhi puch raha Hai bhariye agar apko IFSC code nahi pata Hai to aap apne bank ja Kar pata Kar sakte Hai
Ya fir online bank ki website par jakar apne branch ka IFSC code pata Kar sakte Hai aur sari jankari bharne ke baad next kijiye fir PayPal apke bank account me kuch 0.1 kuch karke Rashi paise bhejega.fir aapko PayPal account me apna Bank account verify karna hoga.

Step#14:

To create PayPal account me apne bank account ko verify karne ke liye aapko apne bank account me PayPal ki taraf se aayi hui amount ko check karna hoga aur fir PayPal account me login karke verify bank account par click karna hoga aur fir Jo PayPal ke through aapke bank account me amount aayi Hai use bhare fir Verify par click Karen verify hone ke baad ab aapka PayPal account paise bhejane aur receive karne ke liye ek dam taiyar Hai.
Aur sath hi agar aap computer me voice typing karna chahte hai to yaha click kare
Note:
Abhi aapne jo create PayPal account kiya hai ushke through bheji hui amount ko aapke bank account me pahuchne me 1 se 2 din ka time lag sakta Hai to aap apne bank account ko check karte rahe aur jab PayPal ke through bheji amount aapke bank account me pahuch Jaye turant aap apne PayPal account ko verify Kar le..
Caution:
Agar aap PayPal account India se bana rahe Hai to yaad rahe PayPal account me aapko Jo bhi amount receive hogi wo usi din us amount ko aapke bank account me bhej deta Hai amount ko aapke bank account me pahuchne me 5-7 din ka time lag sakta Hai.
Important tip:
Agar aap apne PayPal account me kisi bank debit card add karte Hai aur wah error batata Hai to simply aap apne bank customer care ko call karke help le sakte hai. Online international transactions enable Karne ke liye application de.
To bus yahi Hai aaj ke liye jankari agar aapko ye jankari achhi lagi ho to like or share karna na bhule aur milte hai aapse ek aur new jankari ke sath tab Tak ke liye bane rahiye Techineasy ke sath bye bye..
Thanks for reading.
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Hi guys, I am Ashish Raj Founder and owner of Techineasy.com Friends I am a blogger, and Youtuber My Youtube channel is Maurya Vlog Video, And know fast. Friends if you have any questions or Business queries then contact me. Contact info on the Contact us Page. Thank u....

Leave a Comment